Kokh Bandhan Kya Hai? Santan Sukh mein Badha aur Adhyatmik Samadhan
Ek stree ke jeevan mein 'Maa' banne ka sukh sabse bada hota hai. Lekin kai baar, sab kuch thik hone aur doctors ki report normal hone ke baad bhi santan sukh prapt nahi hota. Adhyatmik drishti se ise aksar 'Kokh Bandhan' ya nakaratmak urja ka asar mana jata hai. Nishkam Spiritual Seva ke aaj ke is lekh mein, hum is samasya par vistar se baat karenge.
Kokh Bandhan Ke Sanket (Symptoms)
Kokh bandhan ke peeche aksar purani dvesh-bhavna ya kisi ki buri nazar hoti hai. Iske kuch mukhya sanket ye ho sakte hain:
- Medical Reports Ka Normal Hona: Doctors ke mutabik sab kuch thik hai, fir bhi garbh dharan (conception) mein rukavat aana.
- Baar-baar Garbhpaat (Miscarriage): Baccha lagne ke baad kuch hi samay mein kharab ho jana.
- Mansik aur Sharirik Becheni: Stree ka har samay nirash, gusse mein ya ajeeb se dar mein rehna.
Kya Adhyatmik Upay Se Santan Sukh Sambhav Hai?
Maine apne ab tak ke anubhav mein 47 se adhik aise cases dekhe hain jahan mantra chikitsha aur sahi adhyatmik margdarshan se samasya ka samadhan hua hai. Jab hum nakaratmak badhaon ko todte hain, toh prakritik roop se santan prapti ka rasta saaf ho jata hai.
Humari Seva Ka Uddeshya
Humara kaam sirf samasya ko pehchanna nahi, balki usse ladne ke liye aapko mansik aur aatmik roop se majboot karna hai.
- Bandhan Todna: Pavitra mantron dwara us urja ko kaatna jo santan prapti mein badha bani hai.
- Sakalpa aur Prarthana: Hum un parivar ke liye vishesh nishkam prarthana karte hain.
- Sahi Margdarshan: Doctors ke ilaj ke saath-saath adhyatmik shakti ko jodna, taaki dono taraf se safalta mile.
Santan sukh bhagwan ka ashirwad hai. Agar aap bhi is pareshani se guzar rahe hain, toh nirash na hon. Parmatma ki kripa se sab kuch sambhav hai. Humse sampark karein aur nishshulk paramarsh lein.
Comments
Post a Comment